Wednesday, September 29, 2010

Hoping against the hope ... Post the Ayodhya Verdict

In the innocent eyes of a child
Enthusiasm that’s romantic and wild

In the honest writer’s pen
Virtues that never ever bend

In the hearts of brave soldiers
Our nation’s security who shoulder

In love, faith and courage
Envelops our lovely lineage

In leading mankind towards the path of peace
Let’s light a candle to live and let live all in ease

Wednesday, September 15, 2010

What an Engineer, Engineers ...

Engineer woh hai
jo aksar phasta hai
Interviews ke sawaal mein
Badi companiyon ke jaal mein
Boss aur client ke bawaal mein


Engineer woh hai
jo pak gaya hai
Meetings ki jhelai mein
Submissions ki gehraai mein
Teamwork ki chataai mein


Engineer woh hai
jo laga rehta hai
Schedule ko failane mein
Targets ko khiskaane mein
Roz naye-naye bahaane banane mein


Engineer woh hai
jo lunch time mein Breakfast karta hai
Dinner time mein Lunch karta hain aur
Commutation ke waqt soya karta hai


Engineer woh hai
jo paagal hai
Chai aur samose ke pyaar mein
Cigarette ke khumaar mein
Birdwatching ke vichaar mein


Engineer woh hai
jo khoya hai
Reminders ke jawaab mein
Na milne waale hisaab mein
Behtar Bhavishya ke khwaab mein


Engineer woh hai
jise intezaar hai
Weekend nights par dhoom machaane ka
Boss ke chutti par jaane ka
Increment ki khabar aane ka


Engineer woh hai
jo sochta hai
Kaash padhaai par dhyaan diya hota
Kaash teacher se panga na liya hota
Kaash ishq na kiya hota....

Kaash....

Happy Engineers' Day :)